STUDENTS

EK KADAM ZINDGI KI ORR
 Mashtishk me suno ab ye bat bithani hai,
Khud se hi prerit hona bas hamne ab thani hai.
Tan me na koi hai umang man bhi shithilta se bhara,
Hai teevra gati se daudna bas yahi kasam ab khani hai..
Nishchhal tarange man me bhar jeevan dagar ki raah par,
Har mod par kuch seekhna aisa hai siksha ka safar.
Sagar ki jo gahraiyan unki samajh kafi nahi,
Har boond me utsah hai jeevan ka asli ras yahi.
Nishchhaya yahi tu karle ab kuch bhi asambhav hai nahi,
Na soch kuch bas karm kar mehnat se sambhav hai  sabhi.
Utkarsha drashtikorn ho sambhrant tera ho manan,
Ujjaval ho har ek kal tera to kar abhi se tu jatan.
Nipuntaon ki na seema koi na hi koi bhi umra ho,
Badhkar chalo kuch kar naya jab tak na tujhko sabra ho.
“Muskan” adharo par nahi uska hraday me vaas ho,
Siksha sukho ki kunjiya iska tujhe abhaas ho.
Hai vyom tere paas me gar gyan ka bhandar ho,
Purusho ki grahasthi hai yehstree ka ye shrangaar ho.
Navjeevan ki raah par ab ye rasm nibjani hai,
Khud se hi prerit hona ab hamne ye thaani hai,
Mashtishk me suno ab ye bat bithani hai,
Khud se hi prerit hona ab hamne ye thani hai...
“MUSKAN”

No comments:

Post a Comment